hum kahin bhi hon magar ye chhuttiyan rah jaengi phul sab le jaenge par pattiyan rah jaengi kaam karna ho jo kar lo aaj ki tarikh mein aankh nam ho jaegi phir siskiyan rah jaengi is nae qanun ka manzar yahi dikhta hai ab panw kat jaenge lekin bediyan rah jaengi sirf lafzon ko nahin andaz bhi achchha rakho is jagat mein sirf mithi boliyan rah jaengi kyon banate ho siyasat ko tum apna ham-safar sab chale jaenge lekin kursiyan rah jaengi tum ko bhi aadarsh par 'adarsh' chalna hai yahan warna is daldal mein dhanstin pidhiyan rah jaengi