jo saf-go hon to unchi jagah khada milunga wagarna tujh ko kahin khak mein pada milunga tu salon baad bhi mujh ko manane aae to main apni ek hi zid par tujhe ada milunga tu khud ko yunhi giraata raha to aakhir-kar main tere qad se tujhe sau guna bada milunga lakir khinch ke rakhna tasalli ki khatir ki apni had se na yaksar tujhe badha milunga hun ba-wafa to mera sar nahin jhukega kabhi jo bewafa hun to phir sharm se gada milunga sadaqaten meri shadab hi rakhengi mujhe main zard patta nahin hun ki jo jhada milunga sitam se bhag ke jina hai maut se bad-tar bara-e-haq main tujhe dar par chadha milunga