hum khizan ki agar khabar rakhte aashiyane mein phul bhar rakhte hum agar ishq mein asar rakhte amradon ko ghulam kar rakhte mere dil ko samajhte arsh-e-barin ye sitare agar nazar rakhte kya khabar thi ki dam hai wo zulf hum bhi faulad ka jigar rakhte sath rang-e-chaman ke ud jate aaj hum bhi jo baal-o-par rakhte rah deta jo us ke aane ki zagh ke aage hum jigar rakhte yar ki donon aankhen qatil thin ek nazar hum kidhar kidhar rakhte bhed apna diya na us dil ne hum bhi kuchh apni fikr kar rakhte yahi shikwa hai be-wafaon se hum na marte jo ye khabar rakhte sang-e-dil tujh ko jaante hum agar sabr ki sil kaleje par rakhte gundhte wo khajur se jute aaj hath apne jo kuchh hunar rakhte aankhen ro ro ke kyun sajate ho 'bahr' aansu nahin asar rakhte