hum kisi paikar-e-marmar ki taraf kya dekhen aaina dekh ke patthar ki taraf kya dekhen dekhna hai to kabhi dub ke dekhenge use is bulandi se samundar ki taraf kya dekhen samne jo hai wo manzar nahin dekha jata sar pe latke hue khanjar ki taraf kya dekhen band kamre mein ghutan hai magar uljhan to nahin khidkiyan khol ke bahar ki taraf kya dekhen hum ko malum hai har lamha-e-hasti ka hisab uth ke har subh calendar ki taraf kya dekhen