ab koi ashk bhi aankhon ke samundar mein nahin

ab koi ashk bhi aankhon ke samundar mein nahin
be-hisi wo hai ki shayad kisi patthar mein nahin

main ne chehron pe jo dekhi wo aziyyat-naki
sar pe latke hue haalat ke khanjar mein nahin

aabdida ye hua kaun meri haalat par
ye farishta to koi khak ke paikar mein nahin

tishna-lab hun to bujhahunga kisi tarah se pyas
aam insan hun koi aal-e-payambar mein nahin

maslahat kitna badal deti hai insan ka mizaj
ghar se bahar hai jo har shakhs wo kyon ghar mein nahin

kitne dil tut chuke kitne dhanush tut chuke
faisla kya ho ki sita hi swayamwar mein nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close