hum ko aadat qasam nibhane ki un ki fitrat hai bhul jaane ki sar jhuka kar main kyun nahin jiti bas shikayat yahi zamane ki us ki sharton pe mujh ko hai jina kaisi diwangi diwane ki us ko nafrat hai ya mohabbat hai phir zarurat hai aazmane ki baad marne ke le ke jaungi aarzu apne aashiyane ki main to yun bhi sulag rahi 'sarhad' kya padi aag yun lagane ki