jo teri rahguzar mein chubha tha khar mujhe safar ki yaad dilata hai bar bar mujhe wo khush-ada hai bahut log mujh se kahte hain magar ye baat guzarti hai nagawar mujhe tamam-umr guzar jae tujh tak aane mein na itni dur se ai zindagi pukar mujhe zamana bit gaya mahw-e-raqs chaak pe hun koi bhi shakl ho ai kuza-gar utar mujhe main shauq-e-did liye aa gaya tha kuche mein ki chhodta hi nahin ab tera dayar mujhe main apne ku-e-tamanna mein muntazir hi raha talash karti rahi dasht mein bahaar mujhe jafa ho ya ki wafa main asir-e-dard raha kisi bhi taur na aaya kabhi qarar mujhe jab us ne tod diya rishta-e-wafa 'tariq' to phir ye kis liye us ka hai intizar mujhe