hum ko kuchh yaad nahin tere siwa bhul gae apni surat hi nahin apni sada bhul gae kucha-e-chashm ke sab naqsh o nawa bhul gae hum pe wo waqt pada shor-e-ana bhul gae main akela hi raha barg-o-samar se khali mausam-e-gul mein mujhe mere khuda bhul gae maut aur hijr-e-musalsal mein koi farq nahin tu to phir tu hai hum apni wafa bhul gae ab ke yun rakh hua manzar-e-ahu-chashman dasht ai dasht teri pichhli hawa bhul gae itna bikhra hua lahja yahan 'lutf-ur-rahman' aap bhi apni wo kuchh tarz-e-ada bhul gae