hum ko kya baat kar nahin aati han agar aur magar nahin aati us ke milne ki kya karun surat koi surat nazar nahin aati aate jate hain raat-din din-raat shab-e-gham ki sahar nahin aati aabru bhi hai aab moti ke ja ke bar-e-digar nahin aati badh ke bolo kabhi na bol bada bad-ghadi bol kar nahin aati kaisi paband waqt ki hai ajal waqt se peshtar nahin aati hai nazar dusron ke aibon par khot apni nazar nahin aati be-khabar apne haal se hun 'ata' koi us ki khabar nahin aati