hum ko malum hai baaton ki sadaqat teri log kya kya nahin karte hain shikayat teri malka-e-husn nahin phir bhi tu ai jaan-e-wafa achchhi lagti hai bahut hi mujhe surat teri koi mushkil bhi ho khatir mein na late the kabhi hausla kitna badhati thi rifaqat teri tu hi batla ki bhala tujh ko bhulaen kyun kar samne aankhon ke aa jati hai surat teri kya kahen hum ki guzar jati hai dil par kya kya yaad aati hai jo rah rah ke inayat teri log kya sada hain ummid-e-wafa rakhte hain jaise malum nahin un ko haqiqat teri ab kahan rahta hai kya karta hai 'nadir' mere muddaton baad nazar aati hai surat teri