dil se manzur teri hum ne qayaadat nahin ki ye alag baat abhi khul ke baghawat nahin ki hum saza-war jo thahre to sabab hai itna hukm-e-hakim pe kabhi hum ne itaat nahin ki hum ne malik tujhe mana hai to sachcha mana is liye teri kabhi jhuti ibaadat nahin ki dosti mein bhi faqat ek chalan rakkha hai dil ne inkar kiya hai to rifaqat nahin ki tu ne khud chhoda mohabbat ka safar yaad to kar main ne to tujh se alag ho ke masafat nahin ki jhum utthega agar us ko sunaun ja kar ye ghazal main ne abhi nazr-e-samaat nahin ki us ko bhi apne rawayye pe koi uzr na tha hum bhi the apni ana mein so riayat nahin ki ye to phir tujh se mohabbat ka tha qissa meri jaan mere kis feal pe duniya ne malamat nahin ki tu ne charche kiye har ja meri ruswai ke main ne khud se bhi kabhi teri shikayat nahin ki doston ko bhi rahi waqt ki qillat 'akhtar' haal-e-dil hum ne sunane ki bhi aadat nahin ki