hum ko manzur tumhaara jo na parda hota sara ilzam sar apne hi na aaya hota dost-ahbab bhi be-gane nazar aate hain kash ek shakhs ko itna bhi na chaha hota muft manga tha kisi ne so use bakhsh diya aisa sasta bhi na tha dil jise becha hota jaan kar hum ne kiya khud ko kharab-o-ruswa warna hum wo the farishton ne bhi puja hota ahl-e-duniya ko bahut hum se bhi ummiden thin zindagi tujh se magar apna na jhagda hota naseho hum ko bhi anjam-e-junun hai malum us ko samjhao jo ye sab na samajhta hota wo khirad-mand wo ba-hosh 'wahid' aaj kahan milne walon se kabhi tum ne ye puchha hota