hum jo tute to gham-e-dahr ka paimana bane khak mein mil ke bhi khak-e-rah-e-mai-khana bane kaun is bazm mein samjhega gham-e-dil ki zaban baat chhoti si jab afsana-dar-afsana bane sang-andazon se uncha hai bahut apna maqam warna mumkin tha nishana sar-e-diwana bane shahr-e-jaanan se bhi hum lae mohabbat ka khiraj kya zaruri hai ki yan waz-e-gadayana bane wahshat aamada-e-ruswai hai be-khauf jahan zabt ka hai ye taqaza ki tamasha na bane zindagi hum tere itne to khata-war na the ki jise apna banaen wahi begana bane ek tamanna koi aisa to bada jurm na thi aankh ta-marg chhalakta hua paimana bane kya rifaqat hai yahi ai dil-e-ashufta-mizaj dekh hum ek tere waste kya kya na bane ajnabi lagte hain hum apni nazar ko khud hi aap apne se na itna koi begana bane hum pe ek umr se tari hai khamoshi aisi ek naqshe pe simat jae to afsana bane ai mere hausla-e-gham hai yahi waqt-e-wafa zahr hi hasil-e-sad-umr-e-tamanna na bane zindagi karne ke andaz to bhulo na 'wahid' tum ne kya sikha agar ishq saliqa na bane