hum ko rakhni thi so ek chaak pe rakh di mitti kuza-gar jaane ki kis shakl dhalegi mitti shahr ki galiyon mein ek shor tha duniya duniya qabr-gahon se sada aai ki mitti mitti us ki zid thi ki dhalen us ki hi hum sharton par aur hum le ke chale aae hain apni mitti ek muddat se koi shakl nahin milti hamein tu ne kis chaak pe rakh di ye hamari mitti hum kahan aur kisi zat mein hote hain nihan apni mitti se nahin milti kisi ki mitti chhan kar dekhna mil jaengi meri kirchen tere aangan mein jo ek subh milegi mitti dasht hi dasht nazar aata hai mujh ko ai hawa tu ne dali hai meri aankh mein kaisi mitti khatm hota hi nahin hai kisi khwahish ka tawaf kyon kisi chaak ko milti nahin achchhi mitti