khud apne panw ke niche bhanwar banata hun main ek sarae ko har roz ghar banata hun ye koi dukh hai gila hai ya koi pachhtawa main kaghazon pe jo aksar shajar banata hun mere makan mein ab dhup bhi nahin aati main kis umid se aakhir ye dar banata hun nigal hi jae kabhi to siyah raat mujhe main ek charagh bujha kar ye dar banata hun main jaanta hun ki mitti ke hain parind ke pankh bana ke kuchh nahin hasil magar banata hun