hum ko to be-sawal mile be-talab mile hum wo nahin hain saqi ki jab mangen tab mile fariyaad hi mein ahd-e-bahaaran guzar gaya aise khule ki phir na kabhi lab se lab mile hum ye samajh rahe the hamin bad-nasib hain dekha to mai-kade mein bahut tishna-lab mile kis ne wafa ka hum ko wafa se diya jawab is raste mein lutne wale hi sab mile milte hain sab kisi na kisi muddaa ke sath arman hi raha ki koi be-sabab mile rakkha kahan hai ishq ne 'ajiz' ko hosh mein mat chhediyo agar kahin wo be-adab mile