pas apne boriya bistar na tha itna sarmaya bhi apne ghar na tha dasht jangal saiban-o-dar na tha main hi main tha aur koi manzar na tha daeron mein bhi na guzri zindagi khwahishon ka bhi koi mehwar na tha ek zanjir-e-hawas kar-e-nishat aur koi silsila hat kar na tha qatl karta tha mujhe wo pai-ba-pai us ke hathon mein magar khanjar na tha apne hi ham-zad se darta hun main yun kisi aaseb se kuchh dar na tha hum ye sauda apne sar mein le chale us gali mein ek bhi patthar na tha