hum ko to intizar-e-sahar bhi qubul hai lekin shab-e-firaq tera kya usul hai ai mah-e-nim-shab teri raftar ke nisar ye chandni nahin tere qadmon ki dhul hai kanta hai wo ki jis ne chaman ko lahu diya khun-e-bahaar jis ne piya hai wo phul hai dekha tha ahl-e-dil ne koi sarw-e-nau-bahaar daman ulajh gaya to pukare babul hai baqi hai pau phate bhi sitaron ki raushni shayad mariz-e-shab ki tabiat malul hai jab mo'atabar nahin tha mera ishq-e-bad-guman ab husn-e-khud-farosh ka rona fuzul hai lut kar samajh rahe hain ki nadim hai rahzan kitni hasin ahl-e-murawwat ki bhul hai