gul ki aur bulbul ki sohbat ko chaman ka shana hai sarw hai jun shama tis par fakhta parwana hai roz o shab ya nauha ya zari hai ya aah-o-fughan ya ilahi ye koi dil hai ki matam-khana hai tan kar us ki tegh ke aage hua hai sar-ba-kaf hai qayamat hai ghazab ye dil hai ya diwana hai bulbul-e-taswir ki manind said-e-dil ke tain ne hawa udne ki ne parwa-e-ab-o-dana hai ek haalat par na dekha us ko hum ne ek aan gah gul o gah bulbul o gah shama o gah parwana hai moatakif ho shaikh apne dil mein masjid se nikal sahib-e-dil ki baghal mein dil ibaadat-khana hai mai-kasho mujh ko tumhaari bazm ki hasrat nahin pas mere dida o dil shisha o paimana hai khwab mein the jab talak tha dil mein duniya ka khayal khul gain aanhken to dekha hum ne sab afsana hai sher ustadana o 'hatim' hai be-bakana-waza taba aazadana o auqat darweshana hai