hum ko to khair pahunchna tha jahan tak pahunche jo hamein rok rahe the wo kahan tak pahunche fasl-e-gul tak rahe ya daur-e-khizan tak pahunche baat jab nikli hai munh se to jahan tak pahunche mere ashaar mein hai husn-e-maani ki talash log ab tak na mere dard-e-nihan tak pahunche mujh ko rahne do mere dard ki lazzat mein khamosh ye wo afsana nahin hai jo zaban tak pahunche teri zulfon ki ghani chhanw kise milti hai kis ki taqdir-e-rasa hai ki wahan tak pahunche manzil-e-dar-o-rasan bhi hai rukh-o-zulf ke baad dekhiye shauq hamein le ke kahan tak pahunche tarjuman apna banaya hai mujhe rindon ne kash aawaz meri pir-e-mughan tak pahunche aap ke mashghala-e-sher-o-sukhan se 'ajiz' kaam to kuchh na hua nam jahan tak pahunche