subh rangin-o-jawan sham suhani mange dil-e-betab ki teri hi kahani mange koi dekhe ye mera aalam-e-jaulani-e-taba jis tarah aab-e-rawan aap rawani mange khugar-e-aish nahin fitrat-e-shorida-saran gham-o-andoh-talab soz-e-nihani mange dasht-e-ghurbat mein un aankhon ki nami yaad aae tishna-lab jaise koi sahra se pani mange shumi-e-zist ki ye aaj zulekha ki tarah kasa-e-umr mein lamhat-e-jawani mange apne khwabon pe hai sharminda shab-e-gham-dida subh-e-masum usi shab ki kahani mange ghuncha-e-shauq 'shamim' aaj khila hai shayad dil-e-wahshat-zada khun-naba-fashani mange