hum ko ye dar hai ki imkan kisi aur ka hai yani wo shakhs nigahban kisi aur ka hai ye jo har lahza dhadakte hain mere sine mein dil kisi aur ka arman kisi aur ka hai ghaebana yahi samjha wo faqat mera hai jab mila to laga nadan kisi aur ka hai dastaken sun ke hi andaza hua tha hum ko wo hamara nahin mehman kisi aur ka hai hakim-e-sham ki baiat se khula hai mujh par takht par mani-e-quran kisi aur ka hai hum musafir hain to jaana hai kahin aur hamein ghar kisi aur ka saman kisi aur ka hai hum yunhi qarz chukate rahe anjaane mein kash hum jaante tawan kisi aur ka hai bandh kar sar pe kafan kud pade hain jis mein jang hai ghair ki maidan kisi aur ka hai rukh wo rakhta hai ba-zahir meri jaanib lekin wo to mera nahin sultan kisi aur ka hai main hun na-khush ki khizan aan padi hai be-waqt baghban khush hai ki nuqsan kisi aur ka hai umr-bhar hum ne pilaya hai jinhen apna lahu wo bahaaren wo gulistan kisi aur ka hai ye makan kis ki wirasat hai hamein kya malum sahn apna hai to dalan kisi aur ka hai sehn-e-gulshan se nikal jaane ka mera shaha main samajhta raha elan kisi aur ka hai karwan lutne ka us ko to nahin dard 'nabil' wo samajhta hai ki nuqsan kisi aur ka hai yun bhi mahrum hain hum rang se khushbu se 'nabil' phul apne hain to gul-dan kisi aur ka hai