yun lahakta hai tere nau-khez khwabon ka badan jaise shabnam se dhule taza gulabon ka badan mutriba ne is tarah chhede kuchh armanon ke tar kas gaya angdai lete hi rubabon ka badan koi pahnata nahin be-dagh lafzon ka libas kab se uryan hai mohabbat ki kitabon ka badan raat hai ya sang-e-marmar ka muqaddas maqbara jis ke andar dafn hai do mahtabon ka badan aaine le kar kahan tak hum sarabon ke safir dhup ke sahraon mein dhundenge khwabon ka badan jab ghula baad-e-saba mein tere pairahan ka lams aur bhi mahka tar-o-taza gulabon ka badan 'prem' aakhir subh-e-nau kholegi kab band-e-qaba jhankta hai chilmanon se aaftabon ka badan