hum kya ki hadd-e-nazar tak sarab ki surat

hum kya ki hadd-e-nazar tak sarab ki surat
na khak khak na ab aab aab ki surat

khula tha main bhi kabhi ek gulab ki surat
tamam umr jala aaftab ki surat

kinara kat raha hun wajud ka apne
patak raha hun main sar mauj-e-ab ki surat

zaban jo sukh rahi hai to kuchh sabab bhi hai
samundaron mein raha hun habab ki surat

barun-e-shahar hi kya ki darun-e-shahar bhi hai
sulagte lamhon ka suraj itab ki surat

ye khali khali si shab lamha-e-siyah se bhari
dikhai tak nahin deti hai khwab ki surat

zamin-e-jism ke andar jo zalzale hain bapa
unhen chhupaegi kab tak janab ki surat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close