wafur-e-sharm se main mar raha tha khud apna tajziya jab kar raha tha jo mere pyar ka dam bhar raha tha mere haalat se wo dar raha tha khud apni zat ko dhoke diye the guman ye hai mohabbat kar raha tha use manzil ki hasrat kha gai hai wo jis ke sath ek rahbar raha tha khuda jaane main kyon kar bach gaya hun wo mujh par war paiham kar raha tha labon par khelti thi muskurahat junun-e-shauq aahen bhar raha tha khirad wale mujhe apna rahe the agarche main junun-parwar raha tha