hum log na nikle to safar kaun karega

hum log na nikle to safar kaun karega
duniya ko haqiqat ki khabar kaun karega

phir koh-kani ka hai taqaza koi aae
ek kaam hai karne ka magar kaun karega

hum ne to charaghon ki tarah farz nibhaya
ab raat ki kalak ko sahar kaun karega

alfaz ki bochhad hai aur gosh-e-samaat
kya jaaniye patthar pe asar kaun karega

be-rahmi-e-haalat hai hathiyar sambhaalo
bhagoge to sinon ko sipar kaun karega

phir kaun luta dega dil-o-jaan sar-e-bazm
phir zulf-e-girah-gir ko sar kaun karega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close