kuchh aise do-jahan se rabta rakkha gaya hai ki in khwabida aankhon ko khula rakkha gaya hai meri aankhon mein ab tu ret paega na pani yahan dariya na sahra bas khala rakkha gaya hai pas-e-parda gale mil kar wo shayad ro padenge jinhen puri kahani mein juda rakkha gaya hai