hum logon ko apne dil ke raaz batate rahte hain log hamari baaten sun kar hanste hansate rahte hain jin lamhon ne lut liya tha mere dil ki duniya ko aksar meri mahfil-e-gham mein aate jate rahte hain duniya walon ki baaton se un ka ji kyun jalta hai duniya to diwani hai wo kyun ghabraate rahte hain hum ko gham-e-dauran bhi nahin hai aur gham-e-jaanan bhi nahin jaane phir kyun baat baat par ashk bahate rahte hain hum rahi hum diwane aadab-e-safar ko kya jaanen har manzil har rahguzar mein khak udate rahte hain mujh ko har ek afsane mein apna aks nazar aae log mujhe hi mere gham ka haal sunate rahte hain wo diwana baat baat par raat raat bhar rota hai garche hum 'shahzad' ko khalwat mein samjhate rahte hain