ye jo ishq-e-masnad ke log hain unhen ramz sare sikha piya

ye jo ishq-e-masnad ke log hain unhen ramz sare sikha piya
ye junun-e-ishq ki dastan unhen harf harf suna piya

mere chaaragar main hun dar-ba-dar main to thak gai hai ajab safar
meri be-nishan si hain manzilen mujhe rasta bhi dikha piya

na hudud mein na quyud mein mera dil tere hi wajud mein
ye sujud ka hasin pairahan meri ruh par to saja piya

main to aas thi main to pyas thi kisi phul ki main bhi bas thi
meri pattiyan giren ja-ba-ja unhen shakh par to saja piya

main faqir hun main haqir hun kisi khwab ki na asir hun
main aziz hun to tujhe hi bas so aziz-tar hi bana piya

main falak se aai khata meri use dhundna hai wafa meri
ye jafa ki jo hain haqiqaten meri aankh ko wo dikha piya

mere aasman mere saeban tu hi raaz-dan tu hi mehrban
jahan la-makan ke hain silsile wahin mera ghar bhi bana piya

ye jo aarzuon ka des hai ye jo khak khak sa bhes hai
jo azal abad ka ye bhed hai use bhed hi mein bata piya

ye qadam qadam pe bashaaraten ye nazar nazar mein ziyaraten
ye basarten ye bujhaarten mere shahr-e-dil ko dikha piya

ye jo mere man mein hai raushni yahi zindagi yahi bandagi
meri fikr mein tere zikr mein jo charagh hain wo jala piya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close