hum mai-kade se mar ke bhi bahar na jaenge mai-kash hamari khak ke saghar banaenge wo ek kahenge hum se to hum sau sunaenge munh aaenge hamare to ab munh ki khaenge kuchh chaarasazi nalon ne ki hijr mein meri kuchh ashk mere dil ki lagi ko bujhaenge wo misl-e-ashk uth nahin sakta zamin se jis ko huzur apni nazar se giraenge jhonke nasim-e-subh ke aa aa ke hijr mein ek din charagh-e-hasti-e-ashiq bujhaenge sahra ki gard hogi kafan mujh gharib ka uth kar bagule mera janaza uthaenge ab than li hai dil mein ki sar jae ya rahe jaise uthega bar-e-mohabbat uthaenge gardish ne meri charkh ka chakra diya dimagh nalon se ab zamin ke tabaq thartharaenge 'bedam' wo khush nahin hain to achchha yunhi sahi na-khush hi ho ke ghair mera kya banaenge