hum to maujud the raaton mein ujalon ki tarah log nikle hi nahin dhundne walon ki tarah jaane kyun waqt bhi aankhen bhi qalam bhi lab bhi aaj khamosh hain guzre hue salon ki tarah hajaten zist ko ghere mein liye rakhti hain khasta diwar se chimte hue jalon ki tarah raat bhigi to sisakti hui khamoshi se aasman phut pada jism ke chhaalon ki tarah sari rahen sabhi sochen sabhi baaten sabhi khwab kyun hain tarikh ke be-rabt hawalon ki tarah zindagi khushk hai viran hai afsurda hai ek mazdur ke bikhre hue baalon ki tarah zakhm pahne hue masum bhikari bachche safha-e-dahr pe bikhre hain sawalon ki tarah