hum maut bhi aae to masrur nahin hote majbur-e-gham itne bhi majbur nahin hote dil hi mein nahin rahte aankhon mein bhi rahte ho tum dur bhi rahte ho to dur nahin hote padti hain abhi dil par sharmai hui nazren jo war wo karte hain bharpur nahin hote ummid ke wadon se ji kuchh to bahalta tha ab ye bhi tere gham ko manzur nahin hote arbab-e-mohabbat par tum zulm ke bani ho ye warna mohabbat ke dastur nahin hote kaunain pe bhaari hai allah re ghurur un ka itne bhi ada wale maghrur nahin hote hai ishq tera 'fani' tashhir bhi shohrat bhi ruswa-e-mohabbat yun mashhur nahin hote