yun to wo mujh se siwa mera bhala chahta hai jaane kyun chahta hai mujh se wo kya chahta hai sal-ha-sal se main to safar-e-khwab mein hun wahi nadan hai ki tabir-e-wafa chahta hai hijr ki raat mein bhi dard ke aashob mein bhi dil use chahta rahta hai sada chahta hai kis tarah se dil-e-wahshi ko bhala samjhaun wo to har dam juda rang juda chahta hai na-tarashida basarat bhi basirat thahri ye na hona tha magar ye bhi hua chahta hai us ko dushman bhi kahun us se adawat bhi rakhun us se main pyar karun dil to bada chahta hai