hum mubtala-e-dard hain inkar bhi nahin

hum mubtala-e-dard hain inkar bhi nahin
lekin kisi pe tohmat-e-azar bhi nahin

hum chahte hain aap ko inkar bhi nahin
lekin labon pe jurat-e-izhaar bhi nahin

aati to hain labon pe mere siskiyan magar
aankhon mein aansuon ke gunahgar bhi nahin

dil chahta hai gham ke khazane ko bech dun
lekin mere nasib ka bazar bhi nahin

be-shak gham-e-hayat ka tum hi ilaj ho
mera nasib ye ki main bimar bhi nahin

khushbu ki aarzu hai na chahat hai nur ki
sach sach kaho ki mujh se tumhein pyar bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close