hum musalsal ek bayan dete hue thak chuke hain imtihan dete hue be-zaban alfaz kaghaz par yahan gungi yaadon ko zaban dete hue ho gae gharqab us ki aankh mein khwahishon ko hum makan dete hue phir ubhar aaya teri yaadon ka chand ujla ujla sa dhuan dete hue lutf jalne ka alag hai hijr mein zakhm mere imtihan dete hue la rahe hain nind ke aaghosh mein ashk mujh ko thapkiyan dete hue ro pada tha jaane kyun wo dakiya aaj mujh ko chitthiyan dete hue ek bala ka shor tha aankhon mein par kah na paya kuchh wo jaan dete hue fasla itna na rakhna tha khuda is zamin ko aasman dete hue