hum na mahzuz hue hain kisi shai se aise jaise masrur hain pine sate mai se aise na hamein kaam hai hashmat sate jamshed ke kuchh boriya bas hai ba-az masnad-e-kai se aise chhod duniya ko ba-duniya ze-haqiqat duniya khub waqif hun rag-o-resha-o-pai se aise din duniya ki mohabbat mein agar ghaur karo hai tanaffur mujhe jis tarah se kai se aise nai mein taqat nahin nae ka karishma zahir bujh nae ki sada jo sune nai se aise khub-ru agle zamane ke hain ab tak maujud aafat-e-jaan jo the hain wahi waise aise tu jo aawara hai 'afridi' bata kis ja par dil liya kis ne tera kaun si lai se aise