shikasta chhat mein parindon ko jab thikana mila main khush hua ki mere ghar ko bhi gharana mila falak pe udte hue bhi nazar zamin pe rahi mizaj mujh ko muqaddar se tairana mila hum is ke husn-e-sukhan ki dalil kya denge wo jitni bar mila hum se barmala na mila kisi ki dekhti aankhen bhi aas pas rahen tujhe mila to ba ehsas-e-mujrimana mila main apni baat darakhton se kah ke rota hun ki mere gham ko kisi rut na aashiyana mila ab aa gaya hai to chup-chap khamushi ko san mere sukut mein apni koi sada na mila ladi si tut ke aankhon se gir padi 'nayyar' labon se harf ka koi bhi silsila na mila