hum naqsh-e-pa the rahguzar hi mein rah gae

hum naqsh-e-pa the rahguzar hi mein rah gae
nikle safar pe aur safar hi mein rah gae

shayad unhen tha hadisa-e-zabt-e-gham ka dar
aansu laraz ke dida-e-tar hi mein rah gae

manzil pe wo bhi pahunchenge kis ko yaqin ho
pichhe jo ibtida-e-safar hi mein rah gae

sare jawab de na sake zindagi ke hum
kitne sawal dida-e-tar hi mein rah gae

parwaz un ke sath kare aashiyan ki khak
wo baal-o-par jo barq-o-sharar hi mein rah gae

dahliz ke charagh ka 'saulat' khayal tha
manzil ka shauq le ke bhi ghar hi mein rah gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close