dekh kar dil-kashi zamane ki aarzu hai fareb khane ki ai gham-e-zindagi na ho naraaz mujh ko aadat hai muskurane ki zulmaton se na dar ki raste mein raushni hai sharab-khane ki aa tere gesuon ko pyar karun raat hai mishalen jalane ki kis ne saghar 'adam' buland kiya tham gain gardishen zamane ki