hum par jafa se tark-e-wafa ka guman nahin

hum par jafa se tark-e-wafa ka guman nahin
ek chhed hai wagarna murad imtihan nahin

---
---

kis munh se shukr kijiye is lutf-e-khas ka
pursish hai aur pa-e-sukhan darmiyan nahin

---
---

hum ko sitam aziz sitamgar ko hum aziz
na-mehrban nahin hai agar mehrban nahin

the tyrant holds me dear and i too relish tyranny
thus she is not unkind even if, she's not kind to me

bosa nahin na dijiye dushnam hi sahi
aakhir zaban to rakhte ho tum gar dahan nahin

if you won't kiss me its all right, you can at least abuse
if you don't possess a mouth, your tongue should surely use

har-chand jaan-gudazi-e-qahr-o-itab hai
har-chand pusht-e-garmi-e-tab-o-tawan nahin

e'en though her anger,wrath dissolve my life so totally
and even though support of strength and courage there not be

jaan mutrib-e-tarana-e-hal-mim-mazid hai
lab parda-sanj-e-zamzama-e-al-aman nahin

life is a minstrel with a song seeking severity
lips don't intone a plaintive chant beseeching sanctuary

khanjar se chir sina agar dil na ho do-nim
dil mein chhuri chubho mizha gar khun-chakan nahin

should cleave your breast with dagger if your heart is not in two
should plunge a knife into your heart , if, lashes, blood not spew

hai nang-e-sina dil agar aatish-kada na ho
hai aar-e-dil nafas agar aazar-fishan nahin

the heart's a blot upon one's breast, if flames do not imbue
and breath is shameful for the heart, if fire does not strew

nuqsan nahin junun mein bala se ho ghar kharab
sau gaz zamin ke badle bayaban giran nahin

no loss would be if in frenzy, home turns to ruined heap
as in exchange for hundred yards, the wilderness comes cheap

kahte ho kya likha hai teri sarnawisht mein
goya jabin pe sajda-e-but ka nishan nahin

you ask me "what is this inscribed in lines of your forehead"
as though my brow does not bear signs of rubbing 'gainst your stead

pata hun us se dad kuchh apne kalam ki
ruhul-qudus agarche mera ham-zaban nahin

praise i receive from gabriel for this my style of verse
despite that in a common tongue we two do not converse

jaan hai baha-e-bosa wale kyun kahe abhi
'ghaalib' ko jaanta hai ki wo nim-jaan nahin

a kiss is worth a life complete, why for will she now say
because she knows that gaalib is not half dead yet today

jis ja ki pa-e-sail-e-bala darmiyan nahin
diwanagan ko wan hawas-e-khanman nahin

gul ghunchagi mein gharqa-e-dariya-e-rang hai
ai aagahi fareb-e-tamasha kahan nahin

kis jurm se hai chashm tujhe hasrat qubul
barg-e-hina magar mizha-e-khun-fishan nahin

har rang-e-gardish aaina ijad-e-dard hai
ashk-e-sahab juz ba-wida-e-khizan nahin

juz ijz kya karun ba-tamanna-e-be-khudi
taqat harif-e-sakhti-e-khwab-e-giran nahin

ibrat se puchh dard-e-pareshani-e-nigah
ye gard-e-wahm juz basar-e-imtihan nahin

barq-e-ba-jaan-e-hausla aatish-fagan 'asad'
ai dil-fasurda taqat-e-zabt-e-fughan nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close