sarw mein rang hai kuchh kuchh teri zebai ka jama-e-gul mein hai chhapa teri ranai ka panw se raaz khula baadiya-paimai ka jo phaphola tha dhindhora hua ruswai ka sath aaya koi meri na koi jaega sath morid-e-lutf azal se hun main tanhai ka zulf ki ek hi jhatke mein kaleja phadka bahut ayyub ko dawa tha shakebai ka chaar din aur jawani ke guzar jaane do haal puchhenge jawanon se tawanai ka josh mein koi nahin jama-dari ka mane hathkadi hath pakadti nahin saudai ka haal qabil ka habil se puchhe koi wo zamana hai ki bhai hai adu bhai ka lashkar-e-gham ki chadhai hai khabar-dar ai dil morcha tutne pai na shakebai ka kyun na palken hon jafa-kar jo aafat hon bhawen bal hai tiron ko kamanon ki tawanai ka koi sajda teri dargah ki qabil na hua le chala dagh jabin par main jabin-jai ka uf nahin karte hain ushshaq sitam sahte hain kya hi dilbar ko saliqa hai dil-arai ka yar ki husn-e-jawani ka main diwana hun khat-e-rukhsar hai mahzar meri ruswai ka misl-e-nai sine mein pad jaenge chhed ai bulbul na uda tarz mere zamzama-pairai ka aks aaine mein surat ka pata deta hai khul gaya haal-e-dui se teri yaktai ka apne hasti ko samajhta rahe barbaad insan chaar unsur nahin jhonka hai ye chaupai ka barq girya hai shab-o-roz buton ke gham mein 'bahr' tera hai janam mardum-e-dariyai ka