hum par na karenge wo jafa soch rahe hain ye soch rahe hain to bura soch rahe hain ye aap ke altaf-o-karam ka hai natija achchhe the jo kal aaj bura soch rahe hain puri koi hoti nahin insan ki tamanna kya kije talab waqt-e-dua soch rahe hain itne to kabhi dast-e-hasin surkh na dekhe ye khun hai ya dast-e-hina soch rahe hain malum nahin jin ko faza apne watan ki duniya ki hai kis rukh pe hawa soch rahe hain hairat hai ki har fard ko bimar bana kar ab waqt ke luqman dawa soch rahe hain insan ki tabahi ke liye kya karen takhliq duniya-e-taraqqi ke khuda soch rahe hain jine ke liye shaikh ye sochen ki karen kya firdaus ki kyon baad-e-fana soch rahe hain manzur mere zikr pe wo sar ko jhukae kis fikr mein dube hue kya soch rahe hain