na hote ahl-e-dil ahl-e-sitam jaane kahan jate ye barq-andaz jalwe aag barsane kahan jate sabhi zahid-sifat hote to maikhane kahan jate shabab-o-kaif-o-sarmasti ke afsane kahan jate wo yun kahiye ki thokar kha ke aata hai sanbhal jaana wagarna tum se zalim hum se pahchane kahan jate junun gar inqilab-e-dahr ki rahon pe chal padta janab-e-khizr kya karte ye farzane kahan jate mujassam barf hon jazbaat jin ke un se kya hasil hum aisi be-hisi mein khun garmane kahan jate mere hi dam se hain 'manzur' un ki jalwa-gahen bhi wagarna hashr-saman naz farmane kahan jate