hum par tumhaari chah ka ilzam hi to hai dushnam to nahin hai ye ikram hi to hai karte hain jis pe tan koi jurm to nahin shauq-e-fuzul o ulfat-e-nakaam hi to hai dil muddai ke harf-e-malamat se shad hai ai jaan-e-jaan ye harf tera nam hi to hai dil na-umid to nahin nakaam hi to hai lambi hai gham ki sham magar sham hi to hai dast-e-falak mein gardish-e-taqdir to nahin dast-e-falak mein gardish-e-ayyam hi to hai aakhir to ek roz karegi nazar wafa wo yar-e-khush-khisal sar-e-baam hi to hai bhigi hai raat 'faiz' ghazal ibtida karo waqt-e-sarod dard ka hangam hi to hai