hum sada hi aise the ki yun hi pazirai jis bar khizan aai samjhe ki bahaar aai aashob-e-nazar se ki hum ne chaman-arai jo shai bhi nazar aai gul-rang nazar aai ummid-e-talattuf mein ranjida rahe donon tu aur teri mahfil main aur meri tanhai yak jaan na ho sakiye anjaan na ban sakiye yun tut gai dil mein shamshir-e-shanasai us tan ki taraf dekho jo qatl-gah-e-dil hai kya rakkha hai maqtal mein ai chashm-e-tamashai