hum pe jis taur bhi tum chaho nazar kar dekho han magar baam ki rifat se utar kar dekho aabla-pai ki lazzat bhi ajab lazzat hai sakino dasht mein ek bar safar kar dekho phul hi phul damakte hain karan-ta-ba-karan shoala-zar-e-gham-e-hasti se guzar kar dekho ye to malum hai aaega na koi lekin aaj ki raat bhi 'shahin' sahar kar dekho