hum pe rakhe gae ilzam na jaane kya kya ban gae ek mohabbat ke fasane kya kya manzil-e-dar-o-rasan qaid-e-sitam dasht-e-bala pae hain ahl-e-mohabbat ne thikane kya kya koi andaz-e-nadamat koi nala koi ashk dhunde hain chashm-e-karam tu ne bahane kya kya kabhi aandhi kabhi tufan kabhi shoale kabhi barq mere gulshan pe bhi guzre hain zamane kya kya daulat sabr-o-sukun gauhar-e-ashk-e-rangin hum ne ghurbat mein lutae khazane kya kya nazar-e-ahl-e-mohabbat hi samajh sakti hai lab-e-khamosh pe hote hain fasane kya kya ab mere samne jab koi gale milta hai khinch ke aa jate hain aankhon mein zamane kya kiya kabhi kaliyon ka tabassum kabhi taron ki chamak dil tadapne ke bhi hote hain bahane kya kya kabhi halka sa tabassum kabhi chinpi si nazar hum se puchho ki lage dil pe nishane kya kya hum khata-kar-e-mohabbat hain ye hum se puchho husn-e-masum ko aate hain bahane kya kya an-ginat roz khayalon ke mahal bante hain sochta hai dil-e-betab na jaane kya kya koi 'shaarib' koi 'mulla' koi 'ghaalib' koi 'mir' manzil-e-ishq se guzre hain diwane kya kya