rok de usko bhala kis ki majal aata hai

rok de us ko bhala kis ki majal aata hai
har taraqqi ke taaqub mein zawal aata hai

larza-angez sahi tamkanat-e-takht-e-shahi
lek jab arsh-e-mualla ko jalal aata hai

ek dil pyar bhara sab ke liye laya hun
na mujhe aur koi fan na kamal aata hai

main ne murshid se dua chahi to hans kar ye kaha
pyar ghar chhod ke jata hai jo mal aata hai

jab ye uftad padi mujh pe samajh mein aaya
ek shishe ki tarah dil mein bhi baal aata hai

nag ka zahr bhi shirin hai zara yaad rahe
sar-e-mimbar koi nau-shina maqal aata hai

dekhte jaiye samea nazar aane ke nahin
anjuman mein wo koi khair-sagal aata hai

sitam ijad na kar ai sitam-ijad bahut
tere sar kitni hi naslon ka wabaal aata hai

donon paida to khanakti hui mitti se hue
tal par tum ko mujhe qal pe haal aata hai

dil to phir dil hai miyan zehn bhi qabu mein kahan
jis ko chaho ki na aae wo khayal aata hai

ab to panghat ki wo doshiza talasho jis ko
na bhar aata hai na mashkiza sambhaal aata hai

ek majaanin ki duniya hai ye jadu-nagri
bas ye dekho ki kise sehr-e-halal aata hai

khud-farebi to hain mushtaq ki is dast mein kab
aasman rang-e-fusun-saz-e-shaghaal aata hai

muntazir baithe hain hum bhi ki pae dad-e-ghazal
zaigham aata hai koi koi ghazal aata hai

hansne wale kahin kuchh soch ke rone na lagen
bazm mein 'kausar'-e-ashufta-khayal aata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close