hum pyas ke maron ka is tarah guzara hai aankhon mein nadi lekin hathon mein kinara hai do chaar qadam chal kar do chaar ghadi rukna manzil bhi tumhaari hai rasta bhi tumhaara hai palkon ke nasheman se honton ke gulistan tak kuchh husn tumhaara hai kuchh ishq hamara hai phulon ke mahakne ka koi to sabab hoga ya zulf pareshan hai ya lab ka ishaara hai barfab si duniya mein bas ishq ko thamen rakh ye aag ka dariya hi tinke ka sahaara hai ai pir-e-mughan tere maikhane mein to hum ne ek mai hi nahin pi hai jiwan bhi guzara hai ye shai jo shab-e-hijran jalti hai na bujhti hai ab aa ke tumhin dekho jugnu hai ki tara hai