hum qatl ho gae nahin tujh ko khabar hanuz bandhe phire hai hum pe miyan tu kamar hanuz sau sau tarah ke wasl ne marham rakhe wale zakhm-e-firaq hain mere waise hi tar hanuz kholi thi khwab-e-naz se kis ne ye uth ke zulf lati hai bu-e-naz nasim-e-sahar hanuz wadon pe tere kaam bhi mera hua tamam baaten hi tu banaya kiya yar par hanuz jo dudh ka jala ho piye chhachh phunk phunk hun wasl mein pe hijr se hai mujh ko dar hanuz bhule se tu ne pyar ki ek din kahi jo baat rota hun dil hi dil mein use yaad kar hanuz ujde hazar shahr 'hasan' aur phir base aabaad par hua na ye dil ka nagar hanuz